Tanhaa Safar

Tanhaa Safar
Tanhaa Safar

Thursday, December 21, 2006

Ik sabak chhor jaunga

Kuchh batein, kuchh yadein, apni chamak chhor jaunga
Maut bhi ayi agar ik sabak chhor jaunga

Kuchh cheekhein, nam ankhein, fir sannata chhor jaunga
Har-ek dil me milne ki lalak chhor jaunga

kuchh apne, kuchh paraye, kaee rishte chhor jaunga
Doston main hunar-e-wafa chhor jaunga

kuchh sher, kuchh gazlein, kaee nagme chhor jaunga
Ye hath nahi bas apni kalam chhor jaunga

kuchh jameen, kuchh asmaan, AFROZ yahan chhor jaunga
In fizaon me apni mahak chhor jaunga

2 comments:

Manali_Aaina said...

kuchh sher, kuchh gazlein, kaee nagme chhor jaunga
Ye hath nahi bas apni kalam chhor jaunga....

phir bhi Afroz roz roz yahi kahta hai ke yeh na kavi hai na shayar.....
ab inko main kya kahoon...........

Afroz said...

hahahah.. thanks Manali :)