Tanhaa Safar

Tanhaa Safar
Tanhaa Safar

Monday, January 15, 2007

Nazar (I cant remind the date.. but Yeah I was in school)

Wo teri jhuki nazar Jhuk ke fir uthi nazaz

Ashk se bhari nazar to kabhi khilkhilati nazar

Hai yaad me samo sahar har khwab me teri nazar

Charo taraf mujhe aye nazar teri nazar teri nazar


Mere har sawal ka jawab teri nazar

Har khwab ki tameer teri nazar

Har ibadat ka sila tere nazar

Mile na mile zannat mujhe mil jaye teri nazar


1 main nahi Har nazar padhe teri nazar

1 main nahi Har nazar ka khwab teri nazar

tu hi bata kispe hai teri nazar

main khole rakhonn ya band kar loon apni nazar


hai 1 zahar teri nazar

meri sab ka sahar teri nazar

ye kazar bin kazrari nazar rose

kab samjhengi teri nazar meri nazar meri nazar

Kuchh kaam na aya.. (10-06-04)

Kabhi ujde gulshan me 1 phool ki tarah

Kabhi phoolon ke teh me babool ki tarah


Tere jis sath ne kabhi roshan ki zindagi

Ab uski yaad chubhti hai dil me shool ki tarah


Sirf 1 najar dekha palat kar aur mujhe laga

Wo bhi samjhe hai mujhe gair mere aks ki tarah


Na rok saka us bheed ko maine jab dekha

Uske hathon me bhi the patthar har sakhs ki tarah


Kuchh kam na ayi Afroz hashr me nekiyan bhi

Jis ke saath zindagi gujari us usool ki tarah

DAR (02-01-04 )(she talks to me)

Mana is jahan se tum nahi darte

To kya pyar bhi humse nahi karte


Apni barbadi ki parwah nahi to kya

Hamari ruswayee se bhi nahi darte


Khwab to hote hain bas khwab

Inke tameer ki dua nahi karte


Ishq bhi hai rose 1 ajeeb khel

Jisme jeet kar bhi jeeta nahi karte

WAPAS (01-01-04)

Meri neend mera chain ab lauta do wapas

Ye tanhayee wa dad-e-dil tum le lo wapas


Nakhuda ko khuda kah ke doob gaya

Ho sake to apna khuda tum le lo wapas


Manga na tha wafa ke badle me wafa bhi kabhi

Apni ye bewafai tum le lo wapas


Ye ishq hai ek zahar mujhe na tha pata

Pal pal ki ye maut tum le lo wapas


Gham se mera koi rishta na tha kabhi

Meri ankhon ke ashq tum le lo wapas


Meri manzil kahan kho gayi ab nahi maloom

Apne ye naye raste tum le lo wapas

01-01-04

Teri yaad jo kabhi aati ahi

Kabhi hasati kabhi rulati hai

Kabhi phool to kabhi patthar

Tere zulf ke badal barsaati hai


Ankhon me ashq aur wo sadayein

To kabhi teri chanchal adayein

Tera masoom chehra akshar

Ankhon me nami aur hothon pe hansi lati hai

Yaad (04-12-03)

Teri yadon se khudko juda main kar na saka

In buton ko apna khuda main kar na saka


Jazbaton ko bayan hoton se to kiya na tha

Meri ankhein bhi tu kabhi padh na saka


Raton ko sona chhod diya lekin

Apne khwabon se tujhe door kar na saka


Saans lena bhi chhor diya maine jab

Hawaon se teri khoosboo alag kar na saka


Main janta hun teri manzil kuchh aur hai

Phir bhi Rose apni rahon ko juda kar na saka

Tuesday(30-09-03)

Jo chahein hawaon ka rukh mod de hum

Asman se sitare bhi tod le hum

kuchh bhi mushkil nahi jo hai saath tera.

Haste haste is duniya ko bhi chhod de hum


Sukhe me kashti ko hum chala de.

Hawa me paharon ko hum uda de.

Agar sath de do pal tu mera.

Asman ko zamee se yahin jor de hum.


Tere bin bhi jeena hai ata hamein.

Apne ashko ko peena hai ata hamein.

Mere sang tu nahin bas gam hai tera.

Warna hath ki lakeerein bhi mod de hum.

Khwahish (31-12-03)

Khwahish hai kuchh yun tujhse milu kabhi main

Ho Sari duniya soyi bas jage ho tum aur main

Fark kya mujhe jo us raat na nikle chand

Dekhta hun yu bhi tera chehra chand mein main


Tum dhire se kuchh kahte kahte ruk jao

Aur phir raat se kaho 1 pal to tham jao

Waqt bhi tham jaye us din sunne ko tumhe

Phir apni kismat pe kyon na itraoo main

Main tumhe bas raat bhar Dekhta rahun

Tumhari aankhon me har pal aur zyada doobta rahun

Tumhari hansi sun baj uthte hain saare saaj

Us sangeet me bas raat bhar khoya rahoo main

Aur bhi kya jaane har pal sochta hoon main

Kyon diwano ki tarah tumhe chhahta hoon main

Jaanta hun ye sab kabhi mumkin nahi phir bhi

Khwahish hai kuchh yun tujhse milu kabhi main

Hal-e-Dil (25-12-03)

Tumse kya bataoon kya mera hale dil hai

Kaise kahoo duniya kitni sangdil hai

Rishto ki khoobshoorat dor hai mere charo or

Kaise kahoon ye hi mera qatil hain


Patjhad ke sukhe per ko bahaar ka intezar

Har raat ke andhere ko subah ka intezar

Main nahin janta mujhe kiska intezar

Kaise kahoo ab to har saans bojhil hai


har subah roshni me nahata hun

Har shaam andheron me doob jata hun

Andhere aur roshni ki baat to mai karta hun

Kaise kahun inme farq batana mushkil hai


ik khamosh aks har khwab me dikhta hai

bheed bhare rasto me tanha chalta hai

patthar chehra aur nam aankh mujhe murkar dekhta hai

kaise kahun ROSE ye mera mustakbil hai

Galti (13-02-01)

Jane kyon 1 hi galti bar bar duhrata hun

Kyon kasam khata hun phir bhool jata hun

Majboor hoon dil ke haathon shayad

Ye keh ke khud ko samjhata hun


Usko pareshaan kar khud bhi pareshaan hota hun

Uski aankhon me aanso dekh khud bhi bahut rota hun

Kise samjhaun dil ki haalat kaun samjhega

Koi bhi nahi mera hamdard hota hai


Maafi mang loon usse jaakar

Ab dil to hardam yahi sochta hai

Poochhun to usse kya khata hai meri

Jo har pal wo mujhse door hota hai

Faisla

Sangdil main tha ya waqt tu faisla to kar

Mere nagma-e-jazbaat sunne ka hausla to kar


Tune dekha juda ho kar bhi zinda hoon main

Mere kandhe pe jo hai janaja use beparda to kar


Tera mujrim hoon main jo chhahe saja de

Ik baar magar jurm mera sabit to kar

AAJ (11-02-01)

Aaj jo mujhse tu na mila

Baghon me jaise koi gul na khila

Subah ko na roshni mili

Na chandni raat ko chand hi mila


Sur to hai par saaz gayab

Phoolo se hai rang aaj gayab

Hawa me jo teri khushbu nahi

Har jhonka mujhe gumsum sa mila


Mor nachna bhool gaya

Badal hamse door gaya

Per ki har saakh sukh gayi

Unhe bhi to sawan na mila


Mausm bhi aaj ajeeb hai

1 bheer mere kareeb hai

is bheer me bhi Rose tanha

is bheer me jo tu na mila