Main poochhta main kaun hoon, main sochta ke kya kahoon
Mere humnafas aina-e-fareb tu hi bata, main kya karoon
Wo tanha chale the safar me aur karwaan banta gaya
Mera karwaan jo kahin kho gaya, tu hi bata main kya karoon
Kabhi dusmani ke nam se kabhi dosti ke ilzaam se
mujhko mili jo thokar, tu hi bata main kya karoon
Wo karte rahe wada-e-wafa, hum karte rahe yakeen
Ae saza-e-gunah-e-wafa, tu hi bata main kya karoon
kabhi manjil ki thi justazoo, aur humsafar sath tha
Bin humsafar mili jo manjil, tu hi bata main kya karoon
4 comments:
Bin humsafar mili jo manjil, tu hi bata main kya karoon...
TU HI BATA MAIN KYA KAHOON..
AWESOME...
Awesome Poem!!
Thanks Manali & Piyush :)
Post a Comment