Tanhaa Safar

Tanhaa Safar
Tanhaa Safar

Monday, January 15, 2007

Hal-e-Dil (25-12-03)

Tumse kya bataoon kya mera hale dil hai

Kaise kahoo duniya kitni sangdil hai

Rishto ki khoobshoorat dor hai mere charo or

Kaise kahoon ye hi mera qatil hain


Patjhad ke sukhe per ko bahaar ka intezar

Har raat ke andhere ko subah ka intezar

Main nahin janta mujhe kiska intezar

Kaise kahoo ab to har saans bojhil hai


har subah roshni me nahata hun

Har shaam andheron me doob jata hun

Andhere aur roshni ki baat to mai karta hun

Kaise kahun inme farq batana mushkil hai


ik khamosh aks har khwab me dikhta hai

bheed bhare rasto me tanha chalta hai

patthar chehra aur nam aankh mujhe murkar dekhta hai

kaise kahun ROSE ye mera mustakbil hai

2 comments:

Nidhi Bajaj said...

Andhere aur roshni ki baat to mai karta hun

Kaise kahun inme farq batana mushkil hai...
meri kahani lagti hai , aapke shabdon me byan hui

Afroz said...

Thanks Nidhi... :)