Khwahish hai kuchh yun tujhse milu kabhi main
Ho Sari duniya soyi bas jage ho tum aur main
Fark kya mujhe jo us raat na nikle chand
Dekhta hun yu bhi tera chehra chand mein main
Tum dhire se kuchh kahte kahte ruk jao
Aur phir raat se kaho 1 pal to tham jao
Waqt bhi tham jaye us din sunne ko tumhe
Phir apni kismat pe kyon na itraoo main
Main tumhe bas raat bhar Dekhta rahun
Tumhari aankhon me har pal aur zyada doobta rahun
Tumhari hansi sun baj uthte hain saare saaj
Us sangeet me bas raat bhar khoya rahoo main
Aur bhi kya jaane har pal sochta hoon main
Kyon diwano ki tarah tumhe chhahta hoon main
Jaanta hun ye sab kabhi mumkin nahi phir bhi
Khwahish hai kuchh yun tujhse milu kabhi main
2 comments:
affi... this is really beautiful, such a romantic poem. kya bolu bahut khoobsurat hai...kash iske peeche ki kahani na malum hoti mujhe
padhi thi aaj fir se ye ghazal, likhne ke liye 5 min se yahn pe hun...sach mano shabad nahi mile mujhe... aansun hi hain... de dun?
Post a Comment