Mere samne to hai, Gair ki baho.n me sahi
Mere samne to hai, Gair ki baho.n me sahi
Tere ane ka sabab, May-o-Maushiqi hi sahi
Tere galon ki lali, sone ki baliyon se sahi
Tujhe sooraj de ujala, mujhe chadni hi sahi
zinda mujhe dekh, de taana zindagi ka sahi
Dost nahi to, haisiyat-e-dushman hi sahi
Insaan parast tu mahfil-e-insaani me sahi
khuda ke kareeb tu, chal main kfair hi sahi
shab-e-hijr, teri ankhon me ansoo na sahi
Tu sharminda to hai, ye meri mahfil hi shai
5 comments:
zinda mujhe dekh, de taana zindagi ka sahi
Dost nahi to, haisiyat-e-dushman hi sahi
Sahi hai...!
Tere galon ki lali, sone ki baliyon se sahi
Tujhe sooraj de ujala, mujhe chadni hi sahi
....TOO GOOD....
Mere samne to hai, gair ki baho.n me sahi
aaj is line ka arth samajh aaya! ki kisi ki aankhon ke samna hona bhi itna mayne rakhta hai.
Good one
Thanks Shilpa, Dr. Ramji & Nidhi... came here after a long time.. :)
Post a Comment