Tanhaa Safar

Tanhaa Safar
Tanhaa Safar

Thursday, November 25, 2010

Daavat... :)

Daavat e shaikh thukrayen to kaise...
khuloos ho na ho biryaani to hogi..

Tu Paas hai...

kanpte hothon ki dawat kabhi teri khusboo ne
diwangi nahi waqt ko bandha hain in bahon ne

khud ko bhool jane de khone de ye wazood tujhme
kyon sochein un rasmon ko jise banaya jamane ne

Ab main main nahin tum tum nahin dono hum hain
hamein hum banaya hai kuch pyar ne kuch mausam ne

Ye ik ajab ehsaas hai tu paas phir bhi pyaas hai
Ankhon ki pyas miti to sawal kiya hai in labon ne

Maut roke jo ruk jaun 'Sifar'yun rukna namumkin hai
ab kaun soche kyon aag lagayi ik khamosh israar ne

Muhabbat

अजब हैरानगी से क्यूंकर... मुझे देखे तेरी दुनिया
कह दो इनसे कोई.. तुझ से ही हूँ तुझ सा ही हूँ

इक जुर्म-ए-मुहब्बत के सिवा और तो कोई फ़र्क़ नही...
-------------------------------------------------



Ajab hairaangi se kyunkar.. mujhe dekhe teri duniya
kah do inse koi.. tujh se hi hoon tujhsa hi hoon

ik jurm-e-muhabbat ke siva aur to ki farq nahi...

MAUT

कभी इस खिड़की से बिना आहट मेरे पास चले आना
अपनी आगोश मे मेरा सर रख कोई लोरी सुना देना...

ऐ मौत तू ही कभी अपने प्यार से हैरान कर मुझको
-----------------------------------------------


Kabhee is khidki se binaa aahat mere paas chale aanaa
apni aagosh me mera sar rakh koi lori suna dena...

Ae maut tu hi kabhi apne pyaar se hairaan kar mujhko...

Jhoot

होठों की लाली, आँखों का काजल या कोई बेदाग जिस्म
हैरान नही करती मुझको हो चाहे कोई संगमरमरी हुस्न

जनता हूँ... झूटे हैं सब, तेरे हरेक फरेबी वादे की तरह
--------------------------------------------------


hothon ki laalee, ankhon ka kaajal ya koi bedaag jism
hairaan nahi karti mujhko ho chahe koi sangmarmari husn

jaanta hoon... jhoote hain sab, tere harek farebi wade ki tarah

Gussaa

तुम हैरान होती थी, और गुस्से से डांटा करती थी मुझे
जब भी रात के दो बजे सोकर, पाँच बजे उठ जाता था

अब तो मैं बिल्कुल नही सोता.. बस एक बार डाँट दो...

---------------------------------------------------

Tum hairaan hoti thi, aur gusse se daanta karti thi mujhe
jab bhi raat ke do baje sokar, paanch baje uth jata tha

ab to main bilkul nahi sota.. bas ek baar daant do...

Khwaab

अक्सर सुबह नींद मे तकिये के नीचे से फोन निकालता हूँ
तुम्हे फोन करता हूँ, और रिंग होने से पहले काट देता हूँ

हैरान हूँ, नींद तो खुल गयी.. पर ये ख्वाब क्यूँ नही टूटते
---------------------------------------------------


Aksar subah neend me takiye ke neeche se phone nikalta hoon
tumhe phone karta hoon aur ring hone se pahle kaat deta hoon

hairaan hoon, neend to khul gayi.. par ye khwab kyun nahi tootte

Gareeb

इक तो जानलेवा मर्ज़, दूजा वो ग़रीब
तबीब-ए-शहर वक़्त निकाले भी कैसे

ग़रीब दुआ दे सकता है दौलत नही !

--------------------------------------
ik to jaanleva marz, dooja wo gareeb
tabeeb-e-shahar waqt nikale bhi kaise

gareeb dua de sakta hai daulat nahi !



MARZ -- Disease / Bimari
Tabeeb -- Doctor / vaidya / Hakeem
Tabeeb-e-shahar -- Doctors of town

Shikaayat

तेरी यादों को जला कर शब गुज़ार लेता
बा-वफ़ा गर मैं होता तेरा इंतेज़ार होता

शिकायत को सही, तूने वक़्त तो निकाला

------------------------------------------

teri yaado.n ko jalaa kar shab gujaar leta
ba-wafa gar main hota tera intezaar hota

shikayat ko sahi, tune waqt to nikala

USTAAD

जब उस्तादों की बात निकली
'ग़ालिब' को भी 'मीर' याद आया

जाने किस बात पे इतराते हो तुम

-----------------------------------


Jab ustaado.n ki baat nikli
'Ghalib' ko bhi 'Meer' yaad aya

Jane kis baat pe itrate ho tum

------------------------------------
based on sher of GHALIB

reKhataa ke tum hii ustaad nahii.n ho "Ghalib"
sunate hai.n agale zamaane me.n ko_ii Miir bhii thaa


rekhataa --- was the old name for Urdu

Rasm-e-wafaa

बस ख्याल-ए-रस्म-ए-वफ़ा है "सिफ़र"
के हर शब तेरी महफ़िल मे चले आते हैं

यूँ तो तेरे खाक-ए-कुचे से भी डर लगता है

-----------------------------------------

bas khyaal-e-rasm-e-wafaa hai SIFAR
ke har shab teri mehfil me chale ate hain

yun to tere khaak-e-kuche se bhi dar lagta hai


khyaal-- thought
rasm -- tradition
shab -- night
khaak -- dirt
kucha -- street