Kaun jane ab ke Alvida
ho tera Lafz-e-akhir ya mera waqt-e-akhir
Is baar kuchh na kehna ke 1 aas to rahe
1 baar chooma tha falq ko bas itni si khata apni
ta umra fir jameen na mili mukarrrar rahi saza apni
had to ye, unhe bhi lage ye kam saza apni
Tere bina bhi jindagi para hai mujhko ab tak jeena
ab kya jagna kaisa sona kahe ka hansna kaun sa rona
Par chaha nahi hai maut ko ab tak jane kaun si aas hai.
Thi neend se bojhil palkein par soyi na raat bhar
1 hath me dawa duje se pankha jhelti mujhe dekhti wo rat bhar
Aj bhi bimar na hota to MAA ki yaad rulati na rat bhar
Meri wazah-e-shikayat tu nahin khud main hoon
Phir bhi shikwa tujhse kyonki tu hai to hi main hoon
Kal tak asmaan ko roshan karta aj jameen pe main hoon
kisi din tujhse milunga jindagi
poochunga ky khata thi meri
us din jindagi pahli bar la-jawab hogi
Hum apni dasttan sunane chale the
kisi ruthe hue ko manane chale the
Dil ke jakhmon ko badhane chale the
Gamon ke daur me khusiyin ki ik lari hai tu
Mere angan me asmaan se aayi ik pari hai tu
ai nanhi saitan guriya mere jeevan ki kari hai tu
Mausam kuchh badla sa lage
hawaon me phir thandak hai
siyasatdaan so gaye hain shayad
Ek sitara asmaan se tootkar jamin pe a gira
Thora sarmaya hichkichaya fir logon se mila
khud pe fakhr hua use wo insanon jitna gira hua nahi
Pardes me adhi jali adhi kacchi roti subah ke 2 baje
Khaoon ya ansoo bahaoon maa ki roti yaad ati hai
Ab tak to ghar pe chulhe ki ag sard ho gayi hogi
Khayi thi jhooti kasme kiye the jhoote wade jinse
Wo masoom ab bhi karti hai.N shayad mera intezaar
pani piya lakh fir bhi hichkiya.N karti rahi.N bekarar
Teri kabr me jo khud ko dafan kar pate
Apni nazron me hi itne to na gir jate
ik jism bina rooh ke na bhatakti hoti
Ghar me aina nahi ke ab shrmsaar rahoon main
Ghar phi patthar ka hi mera mere dil ki tarah
Jism hayat se hai ab tak rooh ma gayi to kya..
kabhi tera jhagarna kabhi mujhse lipatna
haya se jhuki ankhein kabhi khud me simatna
hain pas mere ab bhi kuchh khatti mithi yadein
hum zubaan kuchh log
ik lakeer se bant gaye
kuchh hindi kuchh paki ho gaye
Koore ke dher me kuchh khane ko dhoondhti ankhein
Dekh ke ik ceke ka tukra chamki wo budhi ankhein
Fir yad aya aj hai janmdin uska nam huee ankhein
Pet ki aag bujhyi to daulat ki ag lagi
daulat ki bujhi na thi ki sohrat ki lagi
Ye aag bhi ajeeb hai ghar jala ke chhogi
Gaon ki ik sarak sahar tak jati hain
kuchh apno ko sahar tak pahunchati hain
ye sarak wapas gaon tak kabhi nahi ati
kabh ahista chupke se akbhi shor machati
kabhi gharonde torti kabhi moti bikhrati
ye sagar ki lahrein ajeeb khel khelti hain
Thi mujhe manzil ki talash
aur mere manzil ko kisi aur ki
na mili manzil mujhe na hi meri manzil ko
1 comment:
:)
Post a Comment